Friday, August 26, 2016

Poem by Di's friend Geetanshi di

MUSKAN
Vo jis kabil the
Manzil use wo mili
Zameen par fool ki tarah nahi
Aasman me pari ki tarah khili
Kami kuch is jahan me he the
Jo use rakh na saka
Muskurate hue wo ek nai shuruat ki or chali...
Sheeshe sa dil liye ...
Jisme dharkan mehfooz na thi..
Kudrat ne use apne paas bulaya
Insaano se door kahi..
Farishto is use milaya
Khush kismat thi wo zameen
Jisne apnee god me itnee pyaari jaan ko sulaya...
Aasuon me simat kar teri yaad nahi rahegi..
Teri battein abhi bhi hamse bahut kuch kahegi..
Jab jab palke jhuka vaada kr
Tu apnee muskan hame bhejegi
Aapne apno ke is dukh ko jaldi se door karegi..
Aaj vo to jeet gaya..
Par ye jag ek bahut badi jang haara hai..
Ese vakt mein teree yaddein hee humara sahara hai..
Par sach to yei hai
Khud khuda ne tujhe pukara hai..
Aur haan..
Tu abhi bhi yahin hai..
Bas insaan nahi..
Par subah ka ek sitara hai....

No comments:

Post a Comment